har ek zarra bar-e-amanat se Dar gaya
ik main hi tha ki tere muqabil Thahar gaya
har chiiz jal ga.i thi ba-juz chashm-e-intizar
auron ke ghar bujha ke jo main apne ghar gaya
is daur-e-intishar ka ye bhi hai hadisa
tahzib zinda rah ga.i insan mar gaya
vo bhi kabhi tha apne qabile ka aadmi
kal teri anjuman se jo ba-chashm-e-tar gaya
tum muskura ke ek taraf ho ga.e magar
ilzam saara zulf-e-pareshan ke sar gaya
ab tak bhi jis ko paane ki ‘nayyar’ hai aarzu
vo lamha-e-aziz na jaane kidhar gaya
Leave a Reply