Phir Misr Ke Bazar Mein Nilam Hua Kyun

phir misr ke bāzār meñ nīlām huā kyuuñ

ai ishq batā terā ye anjām huā kyuuñ

ham bā.is-e-rāhat jise samjhe the vo lamha

ab apne liye bā.is-e-ālām huā kyuuñ

ai ishq falak par tujhe likhā jo ḳhudā ne

phir terā muqaddar bhalā ib.hām huā kyuuñ

ai ishq tirā naam hai jab sach kī alāmat

ai ishq tū rusvā yuuñ sar-e-ām huā kyuuñ

jab ek hī sajde meñ tirā bhed chhupā hai

phir sañg-e-malāmat hī tirā daam huā kyuuñ

ai aañkh tū be-ḳhvāb hai ḳhvāboñ kī talab meñ

ye hijr hī āḳhir tirā in.aam huā kyuuñ

chehre pe tire kis liye hairat hai abhī tak

ye itnī vazāhat pe bhī ib.hām huā kyuuñ

is dil ko hai mahbūb vahī dard kā naġhma

is dil meñ ta.ajjub hai ye kohrām huā kyuuñ

jo terī mohabbat ko samajh hī nahīñ paayā

‘shāhīn’ ye dil us ke bhalā naam huā kyuuñ

Leave a Comment