ai arz-o-sama ke khaliq
be-aib-o-dana rahim-o-malik
na jaane kitni hai makhluq teri
hisab kaise tu rakhta hoga
kahin pe insan kahin pe shaitan
farishte jin aur tuyur-o-haivan
bahr-o-bar men zamin ke bhitar
sang-o-chob aur faza ke andar
hain aur bhi to karodon zi-ruh
hain sab ke sab jo mutia-o-qael
magar vo aalam fahim jis ko
ki to ne ahsan-tarin banaya
ashraf-ul-khalq zaki banaya
vahi jo ham hain ki yaani insan
hai daava jis ko payambari ka
malaik-o-jin pe bartari ka
hai jis ki khidmat men chand-suraj
hua samundar pahad badal
zamin ka madfan faza ki vusat
na jaane phir kya hua ye ham ko
razil bante chale gae ham
bachchon budhon pe qahr dha kar
khabis bante chale gae ham
khud apni beti bahan ko apne
havas ka luqma bana rahe hain
apni maan ko bahu ko apni
ashkon men ham dubo rahe hain
amn ki jag.hon ko raund daala
tumhen bhi hisson men baant daala
khudaya koi khata hui hai
ya shayad ham se ya shayad tujh se
hisab men tere kami hai shayad
ya meri fitrat badal gai hai
ai khaliq-e-kaenat-o-bartar
bas ek fariyad aur sun le
hisab apna tu thiik kar le
ya phir se fitrat badal de meri
Leave a Reply