Kali Raaton Mein Bhar Gae aaKHir

kaalī rātoñ meñ bhar ga.e āḳhir

rañg vo jo utar ga.e āḳhir

ḳhāmushī umr bhar nahīñ soī

chāñd taare bikhar ga.e āḳhir

dostī bādaloñ se kī ham ne

jahāñ Thahre ubhar ga.e āḳhir

zindagī kuchh vafā bhī kartī hai

isī ḳhvāhish meñ mar ga.e āḳhir

dil to kahtā thā jī na pā.eñge

dekh par ham mukar ga.e āḳhir

Leave a Comment