nasihat-garo dil lagaya to hota
kabhi khanjar-e-ishq khaya to hota
na aata ki aata shikayat na rahti
mujhe anjuman men bulaya to hota
na manunga naseh ki dil par hai qaabu
laga kar kisi se dikhaya to hota
ye maana adu par hai mailan-e-khatir
koi roz us ko sataya to hota
na aate to khanjar hi vo bhej dete
ki ham ne gale se lagaya to hota
miri sakht-jani ke shikve baja the
kabhi dast-e-nazuk uthaya to hota
‘zahir’ aaj daava hai jin ko zaban ka
sukhan apna un ko sunaya to hota
Leave a Reply