Chilla Rahi Hain Jis Pe Zabanen Lahu Lagi

chillā rahī haiñ jis pe zabāneñ lahū lagī

ye vo sadā thī jo mujhe bār-e-gulo lagī

kyā kyā na miss kiyā tujhe maiñ ne firāq meñ

lekin tirī kamī jo tire rū-ba-rū lagī

maiñ tab qarār dūñgā tujhe apnā ham-suḳhan

jab merī ḳhāmushī bhī tujhe guftugū lagī

ab ghir ke rah gayā huuñ ajab azhdahām meñ

har aarzū key pusht se hai aarzū lagī

ai hasrat-e-kamāl kuchh apnā ḳhayāl kar

mar hī na jaa.e yuuñ mire siine se to lagī

badnām ho ga.e haiñ jise likh ke aaj ham

kal dekhiyegā film yahī kū-ba-kū lagī

bardāsht kā azaab mirī ḳhāmushī se pūchh

topeñ sadāoñ kī haiñ mire chaar sū lagī

Leave a Comment