kaise kaise raaz chhupane lagti hain
ankhen kaise aankh churane lagti hain
ḳhamoshi se jab bhi ham do-char hue
avazen avaz lagane lagti hain
ishq ka dariya aisa dariya hai jis men
ummiden din raat Thikane lagti hain
jangal to jangal the ab to shahron men
kya kya chizen aankh dikhane lagti hain
mujh ko bahar jaate dekh ke zindan se
zanjiren tufan uThane lagti hain
Leave a Reply