zaban-e-ḳhalq ko chup astin ko tar pa kar
main ab-dida hava ḳhuun ko dar-ba-dar pa kar
ye kis ke qurb ki ḳhushbu basi hai sanson men
ye mujh se kaun mila mujh ko be-ḳhabar pa kar
safar ki shart kabhi is qadar kaḌi kab thi
thakan kuchh aur baḌhi saya-e-shajar pa kar
vo sabz-tan tha shafaq pairahan khula us par
bana gulab sa vo lams yak nazar pa kar
vo na-shanas-e-tabi.at hai janta tha main
vo hairaton men raha tegh ko sipar pa kar
abhi abhi main jise dafn kar ke lauTa huun
bahut ajiib laga us ko apne ghar pa kar
Leave a Reply