• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Karte Hain Chain Baithe Husn-O-Jamal Wale

Karte Hain Chain Baithe Husn-O-Jamal Wale

poet

karte hain chain baithe husn-o-jamal vaale

phirte hain maare maare kya kya kamal vaale

meri tarah se ek din bazar se jahan ke

javenge haath khali jitne hain taal vaale

dam de ke phansta hai ushshaq ke dinon ko

main janta huun tujh ko zulfon ke jaal vaale

mahshar ka maarka ho jis dam jahan ke andar

us din hamen bachana o lambi dhaal vaale

bulbul hain tere ham bhi bagh-e-jahan ke andar

o gul se gaal vaale sumbul se baal vaale

tanha lahad ke andar honge gada ki surat

jitne hain is jahan men jah-o-jalal vaale

zulf-e-shab-e-judai teri buri bala hai

is ka khayal rakhna o lambe baal vaale

ashiq hain ham bhi tere abru ke aur rukh ke

ham ko bhi yaad rakhna badr-o-hilal vaale

bhule hain do-jahan ko sud-bud nahin kisi ki

jo jo hain is jahan men tere khayal vaale

sayyad ne bichhaya gulshan men dam-o-dana

sun gul-ezar vaale o khatt-o-khal vaale

meri tarah se ik din bazar se jahan ke

jaenge haath khali jitne hain maal vaale

mansur-o-qais-o-vamiq farhad-o-‘muntahi’ se

kya kya gae jahan se fazl-o-kamal vaale

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Aankhen Asir-E-KHwab Thin KHwab Ek Hi Se The

kaifi-azmi

Nauha

Aur Duniya Mein Humne Kya Dekha

Yaad Mein Us Sarw-Qad Ke Dil Mera

Talluqat Ke zaKHmon Ka Hun Sataya Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet