gulon ki ḳhun-shudgi ko shaguftagi na samajh
hujum-e-rang se andaza-e-bahar na kar
kuchh ehtiram bhi kar gham ki vaz.a-dari ka
giran hai arz-e-tamanna to baar baar na kar
vo aur pursish-e-ahl-e-vafa fareb na kha
dil aur tark-e-gham-e-yar e’tibar na kar
ḳhizan ke sainkaḌon manzar hain ai fareb-e-ḳhayal
tulu-e-sub.h-e-baharan ka e’tibar na kar
Leave a Reply