kisi ke haath par tahrir hona
mira bhi sahab-e-taqdir hona
faqat ik ḳhvab ho kar rah gaya hai
adhure ḳhvab ki ta.abir hona
nikalna ruuh ki gahra.i se aur
dua ka hamil-e-tasir hona
ye hona to hai lekin kab ye hoga
qaba-e-zar ka lir-o-lir hona
hisar-e-zabt se bahar tha vo ashk
jise tha dard ki tafsir hona
‘shafiq’ aḳhir hai is para-sifat ko
kisi ke samne tasvir hona
Leave a Reply