tumhen puura haq hai
naraz hone ka
ham be-rahm shaeron se
ham ne tumhen ik tamasha bana diya
tumhare dil men dafn
gahre-tarin razon tak
hamari nazar pahunch gai
aur ham ne tumhen sharminda kar diya
duniya ke samne
tumhare razon par nazmen likh kar
tum hamare jurm par
hamen hathkadi na lagva sake
hamen adalat na le ja sake
na phansi par chadva sake
tum hamare khuun se
apne haath rangne ke liye bhi
khud ko amada na kar sake
go ye kuchh aisa mushkil bhi na tha
lekin hamen andaza hai
tum ham se badla lene ki taqat rakhte ho
aur irada bhi
is be-rahm duniya ko chhod dene ke bavajud!
Leave a Reply