namus-e-vafa ka paas raha shikva bhi zaban tak la na sake
andar se to roe tuut ke ham par ek bhi ashk baha na sake
sahil to nazar aaya lekin tufan men bala ki shiddat thi
maujon ko manaya laakh magar ham janib sahil aa na sake
ham kahte kahte haar gae aur duniya ne kuchh bhi na suna
jab duniya ne israr kiya ham apna dard suna na sake
kab ham ne gulistan chaha tha kab ham ne baharen mangin thiin
ik gul ki tamanna thi ham ko vo bhi to chaman men pa na sake
Leave a Reply