malahat javani tabassum ishara
inhin kafiron ne to sha.er ko maara
mohabbat bhi zalim ajab bebasi hai
na vo hi hamare na dil hi hamara
main tinkon ka daman pakaḌta nahin huun
mohabbat men Duuba to kaisa sahara
mujhe sat.h-e-gham par abhi tairne do
main Duuba to Duuba taghazzul ka taara
jo bismil bana de vo qatil tabassum
jo qatil bana de vo dilkash nazara
mohabbat ka bhi khel nazuk hai kitna
nazar mil ga.i aap jiite main haara
tumhari umangon ka kya puchhna hai
baharen tumhari gulistan tumhara
tumhara ‘nushur’ aur tumhara taḳhayyul
mohabbat tumhari to sha.er tumhara
Leave a Reply