dil niin pakdi hai yaar ki surat
gul hua hai bahar ki surat
koi gul-ru nahin tumhari shakl
ham ne dekhin hazar ki surat
tujh gali biich ho gaya hai dil
dida-e-intizar ki surat
husn ka malak ham niin sair kiya
kahin dekhi na pyaar ki surat
ab zamana sabhi tarah bigda
kya bane rozgar ki surat
vasl ke biich hijr ja hai bhuul
juun nashe men khumar ki surat
is zamane ki dosti ke taiin
kuchh nahin e’tibar ki surat
kuchh thaharti nahin ki kya hogi
is dil-e-be-qarar ki surat
mubtazil aur kharab ho kar ke
apni launde niin khvar ki surat
‘abru’ dekh yaar ka bro-dosh
dil hua hai kanar ki surat
Leave a Reply