kahin vo meri mohabbat men ghul raha hi na ho
khuda kare use ye tajraba hua hi na ho
supurdagi mira meaar to nahin lekin
main sochta huun tire ruup men khuda hi na ho
main tujh ko pa ke bhi kis shakhs ki talash men huun
mire khayal men koi tire siva hi na ho
vo uzr kar ki mire dil ko bhi yaqin aae
vo giit ga ki jo main ne kabhi suna hi na ho
vo baat kar jise phaila ke main ghazal kah luun
sunaun sher jo main ne abhi likha hi na ho
sahar ko dil ki taraf ye dhuan sa kaisa hai
kahin ye mera diya rat-bhar jala hi na ho
ho kaise jabr-e-mashiyat ko is dua ka lihaz
jo ek baar mile phir kabhi juda hi na ho
ye abr-o-kisht ki duniya men kaise mumkin hai
ki umr-bhar ki vafa ka koi sila hi na ho
miri nigah men vo ped bhi hai bad-kirdar
lada hua ho jo phal se magar jhuka hi na ho
jo dasht dasht se phulon ki bhiik mangta tha
kahin vo tod ke kashkol mar gaya hi na ho
tulu-e-subh ne chamka diye hain abr ke chaak
‘nadim’ ye mira daman-e-muddaa hi na ho
Leave a Reply