ashk betab va nigah be-bak va chashm-e-tar kharab
chashm-e-bina se agar dekho to ghar ka ghar kharab
girya be-tasir o fariyad-e-dil-e-muztarib kharab
kar-e-ishq-o-ashiqi naqis tamam aksar kharab
ik hamara naam jo pahunche na teri bazm tak
ik hamari khaak hai jo phirti hai dar dar kharab
hai adab se nutq band ab kya bayan ho muddaa
pahle hi yahan ho chuka guftar ka daftar kharab
dil kharab aur sab hava-o-hirs-e-dil bekar hai
hai faza-e-dahr men hal-e-but-o-but-gar kharab
jaan hi jaati hai guftar-e-shakar-alud par
bul-havas se niyyat-e-ashiq hai kuchh badh kar kharab
shab-e-adu ke saath din ko mujh se chhupte phirte ho
al-gharaz phirte ho yuun hi rat-bhar din-bhar kharab
dil kharabat-e-mughan se ham utha sakte nahin
ho gae is khak-dan men chaar din rah kar kharab
phodna sar ka hi aa thahra to lakhon sang hain
kijiye kyuun astan-e-yar ka patthar kharab
jo muqabil men bala aae vo maujud us men hai
dil hua apna safa se aina ban kar kharab
ik sanam ke haath bik jaata na phirta dar-ba-dar
but-faroshi se hua hai kis qadar aazar kharab
lutf-e-saqi aam tha par va-e-bakht andalib
jam-e-gil bekar nikla saghar-e-abhar kharab
mere dil men ek dam aate nahin misl-e-murad
ho gae aghyar ki ankhon men tum rah kar kharab
tum kisi vaada se phir jaao ki ho jaun tamam
ho agar phirne men mere halq par khanjar kharab
munharif ham dekhte hain kuchh nigah-e-tez tez
kis rag-e-jan se hua hai ye sar-e-nashtar kharab
arzu-e-qatl bar aai to kya bar aai khaak
kuchh yahan qismat buri kuchh vahan dam-e-khanjar kharab
yuun kharabat-e-mughan bhi hai kharab-e-rozgar
lekin us se bhi hai kuchh tera dil-e-‘anvar’ kharab
Leave a Reply