juz rishta-e-ḳhulus ye rishta kuchh aur tha
tum mere aur kuchh main tumhara kuchh aur tha
jo ḳhvab tum ne mujh ko sunaya tha aur kuchh
ta.abir kah rahi hai ki sapna kuchh aur tha
ham-rahiyon ko jashn manane se thi gharaz
manzil hanuz duur thi rasta kuchh aur tha
ummid-o-bim, ishrat-o-usrat ke darmiyan
ik kashmakash kuchh aur thii, kuchh tha kuchh aur tha
ham bhi the yuun to mahv-e-tamasha-e-dahr par
dil men khaTak si thi ki tamasha kuchh aur tha
jo baat tum ne jaisi suni Thiik hai vahi
main kya kahun ki yaar ye qissa kuchh aur tha
‘ahmad’ ghazal ki apni ravish apne taur hain
main ne kaha kuchh aur hai socha kuchh aur tha
Leave a Reply