har manzar-e-ḳhush-rang sulag jaa.e to kya ho
shabnam bhi agar aag hi barsa.e to kya ho
ehsas ki qindil se az.han hain raushan
lekin ye ujala bhi jo kajla.e to kya ho
suraj ki tamazat se jhulas jaati hai duniya
suraj mire qadmon pe utar aa.e to kya ho
zar-tabi-e-afkar to pahle hi se hai maand
alfaz ka a.ina bhi dhundla.e to kya ho
main jab bhi likhun vaqt ke ḳhun-rez fasane
hathon main qalam chhuT ke rah jaa.e to kya ho
be-ḳhvab nigahon ke ufaq par jo achanak
dhundla sa koi chand ubhar aa.e to kya ho
Leave a Reply