• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Rah-E-Junun Mein Chala Yun Main Umr-Bhar Tanha

Rah-E-Junun Mein Chala Yun Main Umr-Bhar Tanha

rah-e-junun men chala yuun main umr-bhar tanha

ki jaise koi bagula kare safar tanha

udasi ruuh se guzri hai is tarah jaise

ujaaḌ dasht men patjhaḌ ki dopahar tanha

bhaTak rahi hai ḳhalaon men yuun nazar jaise

ho raat men kisi gumrah ka guzar tanha

guzar ga.e jaras-e-gul ke qafile kab ke

taka kare yunhi ab gard-e-rah-guzar tanha

nasim-e-sub.h mujhe bhi gale lagati ja

main vo diya huun jala hai jo rat-bhar tanha

nazar men thi bhare bazar ki si virani

hujum men bhi rahe ham nagar nagar tanha

andheri raat hava saḳht tez vahshat-e-dil

ham aisi shab men bhi phirte hain dar-ba-dar tanha

musafiron pe ‘musavvir’ na jaane kya biiti

safina aaya hai sahil pe lauT kar tanha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Pechaak-E-Umr Apne Sanwar Aaine Ke Sath

Dar-O-Diwar Ki Zad Se Nikalna Chahta Hun Main

Labon Par Un Ke Hayat-Afrin Hansi Na Rahi

poet

Meri Us Pyari Jhab Se Aankh Lagi

Chalo Ye to Hadsa Ho Gaya Ki Wo Saeban Nahin Raha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet