kabhi lutf-e-zaban-e-khush-bayan the
zamin-e-sher ke ham asman the
laga thokar na paae naaz se tu
kabhi taj-e-sar-e-hindostan the
zamin par charkh deta hai abas tu
kabhi pir-e-falak ham bhi javan the
zar-e-gul ban gaya naala hamara
chaman men bhi hamin atish-fishan the
makin thi ruuh chhoda jism jis dam
kirae ke ye sab qasr-o-makan the
vahi jangal hai ab par us se aage
chaman the gul the ham the baghban the
nahin ab zabt baaqi na-tavan huun
mire aansu nihayat raz-dan the
mire nalon se pahuncha qafila sab
jaras bekar mashghul-e-fughan the
jagaya na-tavan-binon ne un ko
abas vo mail-e-khvab-e-garan the
dabe zer-e-zamin ai charkh mah-ru
yahan do din ke ye sab mehman the
ajab mausam men katti thi javani
chaman tha aur lutf-e-qissa-khvan the
kahan majnun kahan ‘farhad’-o-‘vamiq’
hamari maut ke sab nauha-khvan the
savad-e-lucknow chhoda alam men
ye ‘akhtar’ bhi ghazab ke khush-bayan the
Leave a Reply