chand sa chehra jo us ka ashkara ho gaya
tan pe har qatra pasine ka sharara ho gaya
chhup saka dam bhar na raz-e-dil firaq-e-yar men
vo nihan jis dam hua sab ashkara ho gaya
jis ko dekha chashm-e-vehdat se vahi mashuq hai
pad gai jis par nazar us ka nazara ho gaya
ham-kinari ki havas ai gauhar-e-yakta ye hai
aab ho kar gham se dil dariya hamara ho gaya
khalq men gard-e-yatimi se guhar ki qadr hai
khaksari se fuzun rutba hamara ho gaya
dil men hai ai ‘barq’ us but ke dar-e-dandan ki yaad
ye guhar arsh-e-barin ka goshvara ho gaya
Leave a Reply