har baar hua hai jo vahi to nahin hoga
dar jis ka satata hai abhi to nahin hoga
duniya ko chalo parkhen nae dost banaen
har shakhs zamane men vahi to nahin hoga
vo shakhs bada hai to ghalat ho nahin sakta
duniya ko bharosa ye abhi to nahin hoga
hai us ka ishara bhi samajhne ki zarurat
hoga to kabhi hoga abhi to nahin hoga
do-char gade murde ukhadenge kisi roz
har baar naya jhagda kabhi to nahin hoga
kuchh aur bhi ho sakta hai taqrir ka matlab
jo aap ne samjha hai vahi to nahin hoga
har baar zamane ka sitam hoga mujhi par
haan main hi badal jaun kabhi to nahin hoga
Leave a Reply