phuul pe jab ik titli dekhi apni javani yaad aa.i
aaj na jaane phir kyuun mujh ko apni kahani yaad aa.i
zaḳhm ke Tanke TuuT ga.e sab raat chali jo purva.i
phir to chale the zaḳhm magar phir teri nishani yaad aa.i
yuun to sab kuchh bhuul chuka huun tark-e-vafa ke ba.ad magar
dard uTha jab dil men mere teri nishani yaad aa.i
tere kunvare jism ki ḳhushbu phail ga.i hai kamre men
tujh ko hava jab chhu kar aa.i raat suhani yaad aa.i
sham.a ki lau par jalte dekha raat jo ik parvane ko
saari kahani maazi ki vo apni zabani yaad aa.i
bahte hue ik dariya ko jo dekha main ne ek ‘nazar’
haa.e kisi ke lahje ki vo narm kahani yaad aa.i
Leave a Reply