arzan samajh agar gham-e-ulfat garan mile
nuqsan nahin agar ivaz-e-naqd-e-jan mile
ai rah-rau qadam na rakh is par ghurur se
ye ḳhaak vo hai jis men ka.i karvan mile
mil jaa.en kaash mujh ko kahin aur main kahun
DhunDa kahan kahan tumhen aur tum kahan mile
hon dasht-o-koh ya chaman ai mader-e-vatan
jannat hai tera saya-e-daman jahan mile
us chand-roza ziist se jaan hai azaab men
kyuun kar kaTe jo zindagi javedan mile
ham kyuun karen zalil jabin-e-niyaz ko
shayan-e-sajda jab na koi astan mile
jab tak ḳhayal-e-husn se abad ho na dil
mumkin nahin zaban ko husn-e-bayan mile
milte rahe hain ham sho.ara-e-karam se
kam ahl-e-dil the beshtar ahl-e-zaban mile
‘mahrum’ ho gaya safar-e-zindagi tamam
ab dekhiye qarar ki manzil kahan mile
Leave a Reply