khirad men mubtila hai ‘salik’ divana barson se
nahin aaya vo mai-khane men bebakana barson se
mayassar jis se aa jaati thi saaqi ki qadam-bosi
muqaddar men nahin vo laghzish-e-mastana barson se
ba-yad-e-chashm-e-yar ik nara-e-mastana ai saaqi
ki haao hu se khali hai tira mai-khana barson se
tujhe kuchh ishq o ulfat ke siva bhi yaad hai ai dil
sunae ja raha hai ek hi afsana barson se
kisi ko to musharraf kar de ai zauq-e-jabin-sai
taqaza kar rahe hain kaaba o but-khana barson se
nai shamen jalao ashiqi ki anjuman vaalo
ki suuna hai shabistan-e-dil-e-parvana barson se
koi jauhar-shanas aae to jaane qadar ‘salik’ ki
pada hai khaak par ye gauhar-e-yak-dana barson se
Leave a Reply