kise ḳhabar thī ki jiite jī bhī vo daur āye.gā zindagī kā
ki hogā mahsūs har nafas ye na koī merā na maiñ kisī kā
hudūd-e-vahm-o-gumāñ se guzrā makāñ to kyā lā-makāñ se guzrā
rukegā āḳhir kahāñ pahuñch kar ye kārvāñ zauq-e-āgahī kā
jo mere dil se thā un ko karnā na kar sakīñ aap kī nigāheñ
mirī tabī.at meñ naqs jo hai qusūr hai vo bhī aap hī kā
hai qābil-e-rahm un kī hālat na kījiye aap un se nafrat
dar-asl ehsās-e-kamtarī hai jinheñ hai kuchh naaz bartarī kā
sikhāne vaale to aa.e paiham har ik zamīñ par har ik zamāñ meñ
magar ham aise hī bad-guhar the salīqa aayā na zindagī kā
ye ham ne maanā ki is jahāñ meñ ḳhulūs-e-jins-e-garāñ hai lekin
kabhī to yaaro ḳhulūs barto bharam to rah jaa.e dostī kā
jo husn-e-pur-kār par fidā haiñ unheñ ‘razā’ kaun ye batā.e
vo husn hai fitna-e-qayāmat lagā.e ġhāza jo sādgī kā