ajab surur mila hai mujhe dua kar ke
ki muskuraya khuda bhi sitara va kar ke
gada-gadi bhi ik uslub-e-fan hai jab main ne
usi ko maang liya us se iltija kar ke
shab-e-firaq ke har jabr ko shikast hui
ki main ne subh to kar li khuda khuda kar ke
ye soch kar ki kabhi to javab aaega
main us ke dar pe khada rah gaya sada kar ke
ye chara-gar hain ki ik ijtima-e-bad-zauqan
vo mujh ko dekhen tiri zaat se juda kar ke
khuda bhi un ko na bakhshe to lutf aa jaae
jo apne-ap se sharminda huun khata kar ke
khud apni zaat pe to e’timad pukhta hua
‘nadim’ yuun to mujhe kya mila vafa kar ke
Leave a Reply