Ajab Ek Masala Pesh Aa Gaya Tha

ajab ik mas.ala pesh aa gayā thā

maiñ apne aap se Takrā gayā thā

tumhāre hijr kā aadī huuñ jānāñ

tumhāre qurb se uktā gayā thā

na pūchho hāv-hū yādoñ kī kyā thī

vo tanhā.ī thī dil ghabrā gayā thā

vo āñkheñ band thiiñ andar se shāyad

maiñ ulTe paañv vāpas aa gayā thā

tujhe chhūne kī gustāḳhī pe nādim

maiñ apnī ungliyāñ tak khā gayā thā

Leave a Comment