• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Mere dil Na Jigar Par Na dida-e-Tar Par

Na Mere dil Na Jigar Par Na dida-e-Tar Par

poet

na mere dil na jigar par na dida-e-tar par

karam kare vo nishan-e-qadam to patthar par

tumhare husn ki tasvir koi kya khinche

nazar thaharti nahin ariz-e-munavvar par

kisi ne li rah-e-kaaba koi gaya su-e-dair

pade rahe tire bande magar tire dar par

gunahgar huun main vaizo tumhen kya fikr

mira muamla chhodo shafi-e-mahshar par

un abaruon se kaho kushtani men jaan bhi hai

isi ke vaste khanjar khincha hai khanjar par

pila de aaj ki marte hain rind ai saaqi

zarur kya ki ye jalsa ho hauz-e-kausar par

salahiyat bhi to paida kar ai dil-e-muztar

pada hai naqsh-e-kaf-e-pa-e-yar patthar par

vafur-e-josh-e-ziya aur un ke danton ka

habab-e-gumbad-e-gardun hai ab-e-gauhar par

akhir vaqt hai ‘asi’ chalo madine ko

nisar ho ke maro turbat-e-payambar par

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hafiz Shirazi

Taalallah Che daulat daram Imshab

poet

Kisi Ka Kaam dil Is Charkh Se Hua Bhi Hai

Tamam Taron Ko Jaise Qamar Se joDa Hai

Gham Mujhe Hasrat Mujhe Wahshat Mujhe Sauda Mujhe

zehra-nigaah

Kal Raat dhale

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet