safar khud-raftagi ka bhi ajab andaz tha
kahin par raah bhule the na ruk kar dam liya tha
zamin par gir rahe the chand taare jaldi jaldi
andhera ghar ki divaron se uncha ho raha tha
chale chalte the rah-rav ek avaz-e-akhi par
junun tha ya fusun tha kuchh to tha jo ho raha tha
main us din teri aamad ka nazara sochti thi
vo din jab tere jaane ke liye rukna pada tha
isi husn-e-taalluq par varaq likhte gae laakh
kiran se ru-e-gul tak ek pal ka rabta tha
bahut din baad ‘zehra’ tu ne kuchh ghazlen to likkhin
na likhne ka kisi se kya koi vaada kiya tha
Leave a Reply