ik ḳhvab chhan se TuuT ke ankhon men gaḌ gaya
itna hanse ki chiḳh ke rona bhi paḌ gaya
ye kis ne apni Tiis varaq par utaar di
ye kaun apne dil ko siyahi se jaḌ gaya
ab to ḳhayal-e-yar se hota hai ḳhauf sa
chehra kisi ki yaad ka kitna bigaḌ gaya
lahron ka shor tham gaya tufan so ga.e
kashti ke Dubte hi samundar ujaḌ gaya
jab tak hamare naam se vaqif hua jahan
tab tak hamare naam ka patthar ukhaḌ gaya
kar to liya hai dard ki lahron ka samna
lekin hamare zarf ka baḳhiya udhaḌ gaya
us ko Thahar ke dekhte hasrat hi rah ga.i
vo daf.atan mila tha achanak bichhaḌ gaya
Leave a Reply