muft kab azad karti hai giraftari mujhe
ji hai akhir le ke chhodegi ye bimari mujhe
kab havas hai mujh ko rusvai ki lekin kya karun
khinch kar laati hai is kuche men lachari mujhe
main jo bin gham-khvar hargiz ji na sakta tha kabhu
in dinon karni padi hai dil ki gham-khvari mujhe
ishq ke fan se abhi mujh ko kahan hai ittilaa
kuchh nahin aata baghair az nala-o-zari mujhe
kya laga leta hai khuban ko ‘yaqin’ karti hai daagh
aaine ki sada-lauhi saath purkari mujhe
Leave a Reply