luT gaya dil kahan nahin ma.alum
kya hua hai ziyan nahin ma.alum
ab qafas men hi rahne de sayyad
tha kahan ashiyan nahin ma.alum
tu hi aa kar sikha de o bulbul
mujh ko tarz-e-fughan nahin ma.alum
aap hi se faqat hai dilchaspi
aur dilchaspiyan nahin ma.alum
vaa.e taqdir kya qayamat hai
jaa.e dard-e-nihan nahin ma.alum
yaad hone lagi kahan apni
aa.iin kyuun hichkiyan nahin ma.alum
mujh ko teri kahani aati hai
aur koi dastan nahin ma.alum
main azal se fida.i huun jis ka
us ka nam-o-nishan nahin ma.alum
pairav-e-‘mir’ huun main” ai ‘nadir’
ghair ko ye zaban nahin ma.alum
Leave a Reply