ham jo mahfil men tiri sina-figar aate hain
rang-bar-dosh gulistan-ba-kanar aate hain
chak-dil chak-jigar chak-gareban vaale
misl-e-gul aate hain manind-e-bahar aate hain
koi maashuq sazavar-e-ghazal hai shayad
ham ghazal le ke su-e-shahr-e-nigar aate hain
kya vahan koi dil-o-jan ka talabgar nahin
ja ke ham kucha-e-qatil men pukar aate hain
qafile shauq ke rukte nahin divaron se
sainkadon mahbas-o-zindan ke dayar aate hain
manzilen daud ke rahrav ke qadam leti hain
bosa-e-pa ke liye rahguzar aate hain
khud kabhi mauj-o-talatum se na nikle bahar
paar jo saare zamane ko utaar aate hain
kam ho kyuun abru-e-qatil ki kamanon ka khinchao
jab sar-e-tir-e-sitam aap shikar aate hain
Leave a Reply