• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tum Ho Bazm-E-Aish Hai Wan Aur Sohbat-Dariyan

Tum Ho Bazm-E-Aish Hai Wan Aur Sohbat-Dariyan

poet

tum ho bazm-e-aish hai vaan aur sohbat-dariyan

ham hain kunj-e-gham hai yaan aur jaan se bezariyan

tum ko sair-e-bagh-o-gul-gasht-e-chaman ka vaan hai shauq

yaan badan par hain hujum-e-dagh se gul-kariyan

dhyan hai ara.ish-e-zulf-e-pareshan ka tumhen

yaad hain hal-e-pareshan ki miri kuchh ḳhvariyan

tum safa-e-sa.id-o-bazu dikhate ho vahan

ham pe yaan mu-e-badan karte hain nashtar-dariyan

tum ne dikhla.i vahan piiTh aur choTi ki phaban

yaan miri chhati pe hain kaale ne lahren mariyan

nek-o-bad donon se yaan ham ne to ankhen muund liin

tum vahan chitvan ki dikhlate ho jadu-kariyan

yaan ba-rang-e-paikar-e-tasvir ham ḳhamosh hain

guftugu ki tum dikhate ho vahan tarrariyan

qahqahe tum marte ho vaan ba-avaz-e-buland

dushmanon se yaan chhupa kar ham hain karte zariyan

har mariz-e-gham ki jan-baḳhshi ka hai vaan tum ko dhyan

khinch ga.iin yaan tul-e-shiddat se miri bimariyan

iztirab-e-dil se be-parda hua yaan raz-e-ishq

sujhti hain vaan tumhen har baat men tahdariyan

kya kisi se baat kiije bhulte ik dam nahin

un bhalaon se vo baton men tiri ayyariyan

chhin kar baton men dil ko ‘lutf’ se vo but bane

yaad rakhna ghair ki karna vahan dil-dariyan

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Qurbat baDha baDha Kar Be-KHud Bana Rahe Hain

poet

Ye Zindagi to Bahut Kam Hai Dosti Ke Liye

kaifi-azmi

Shor Yunhi Na Parindon Ne Machaya Hoga

ajmal-siddiqi

Zindagi Roz Banati Hai Bahane Kya Kya

poet

Khuda Shahid Buto do-Jag Se Ye Sauda Hai Nirwala

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet