khafa hona zara si baat par talvar ho jaana
magar phir khud-ba-khud vo aap ka gulnar ho jaana
kisi din meri rusvai ka ye karan na ban jaae
tumhara shahr se jaana mira bimar ho jaana
vo apna jism saara saunp dena meri ankhon ko
miri padhne ki koshish aap ka akhbar ho jaana
kabhi jab andhiyan chalti hain ham ko yaad aata hai
hava ka tez chalna aap ka divar ho jaana
bahut dushvar hai mere liye us ka tasavvur bhi
bahut asan hai us ke liye dushvar ho jaana
kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aata hai
kahin chalne ki zid karna mira tayyar ho jaana
kahani ka ye hissa ab bhi koi khvab lagta hai
tira sar par bitha lena mira dastar ho jaana
mohabbat ik na ik din ye hunar tum ko sikha degi
baghavat par utarna aur khud-mukhtar ho jaana
nazar nichi kiye us ka guzarna paas se mere
zara si der rukna phir saba-raftar ho jaana
Leave a Reply