hone vaala tha ik hadsa rah gaya
kal ka sab se baḌa vaqi.a rah gaya
raat angan men utri nahin chandni
chand shaḳhon men uljha hua rah gaya
ham ne kah sun liya mutma.in ho ga.e
aur ab kahne sunne ko kya rah gaya
sub.h hogi kahani banegi koi
zindagi ka yahi mas.ala rah gaya
main ne nafrat ki khaa.i pe pul rakh diya
phir bhi TuuTa hua silsila rah gaya
sab Darame ke kirdar ghar chal diye
samne ek parda paḌa rah gaya
ye bhi taklik-deh ik saza hi to hai
shaḳh men ek patta hara rah gaya
main kisi ke yahan vaqt kya kaTta
apna hi ghar ‘shafaq’ DhunDhta rah gaya
Leave a Reply