pahle to husn-e-amal husn-e-yaqin paida kar
phir isi khaak se firdaus-e-barin paida kar
yahi duniya ki jo but-khana bani jaati hai
isi but-khane se kaabe ki zamin paida kar
ruh-e-adam nigaran kab se hai teri janib
uth aur ik jannat-e-javed yahin paida kar
khas-o-khashak-e-tavahhum ko jala kar rakh de
yaani atish-kada-e-soz-e-yaqin paida kar
gham mayassar hai to is ko gham-e-kaunain bana
dil hasin hai to mohabbat bhi hasin paida kar
asman markaz-e-takhil-o-tasavvur kab tak
asman jis se khajil ho vo zamin paida kar
dil ke har qatre men tufan-e-tajalli bhar de
batn-e-har-zarra se ik mahr-e-mubin paida kar
bandagi yuun to hai insan ki fitrat lekin
naaz jis pe karen sajde vo jabin paida kar
pasti-e-khak pe kab tak tiri be-bal-o-pari
phir maqam apna sar-e-arsh-e-barin paida kar
ishq hi zinda o painda haqiqat hai ‘jigar’
ishq ko aam bana zauq-e-yaqin paida kar
Leave a Reply