• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Naseho dil Kis Kane Hai Kis Ko Samjhate Ho Tum

Naseho dil Kis Kane Hai Kis Ko Samjhate Ho Tum

poet

naseho dil kis kane hai kis ko samjhate ho tum

kyuun divane ho gae ho jaan kyuun khate ho tum

mujh se kahte ho ki main hargiz nahin piita sharab

main tumhara dost ya dushman ki sharmate ho tum

aur jo baithe rahen to un se tum mahzuz ho

jab hamin aate hain to ghabra ke uth jaate ho tum

lo ji ab aram se baithe raho jaate hain ham

phir na avenge kabhi kaahe ko jhunjhlate ho tum

raat ko tum jis jagah the ham ko sab malum hai

jhuut kyuun bakte ho kaahe ko qasam khate ho tum

munh bana meri taraf aine ka bosa liya

vaah va achchhi tarah se roz dahkate ho tum

ek to main aap huun be-zar apni jaan se

dusre bak bak ke mere ji ko ghabrate ho tum

ai kabutar ai saba ai naala ai fariyad aaj

kahiyo dilbar se agar kuche talak jaate ho tum

‘soz’ ka dil khush to ho jaata hai vadon se miyan

par ghazab ye hai ki vaqt hi par mukar jaate ho tum

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Umr Gai Ulfat-E-Zar Ji Se Ilahi Na Gai

Zindagi Se Umr-Bhar Tak Chalne Ka Wada Kiya

Main Ek jhuTi Kahani Likh Raha Hun

jaun-eliya

Ek Hi Muzhda Subh Lati Hai

Kahan Talash Mein Jaun Ki Justuju Tu Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet