tujhi ko jo yaan jalva-farma na dekha
barabar hai duniya ko dekha na dekha
mira ghuncha-e-dil hai vo dil girafta
ki jis ko kisu ne kabhu va na dekha
yagana hai tu aah beganagi men
koi dusra aur aisa na dekha
aziyyat musibat malamat balaen
tire ishq men ham ne kya kya na dekha
kiya muj ko daghon ne sarv-e-charaghan
kabhu tu ne aa kar tamasha na dekha
taghaful ne tere ye kuchh din dikhae
idhar tu ne lekin na dekha na dekha
hijab-e-rukh-e-yar the aap hi ham
khuli aankh jab koi parda na dekha
shab o roz ai ‘dard’ dar pe huun us ke
kisu ne jise yaan na samjha na dekha
Leave a Reply