Dil Mein Be-Nam Si KHushi Hai Abhi

dil meñ be-nām sī ḳhushī hai abhī

zindagī mere kaam kī hai abhī

maiñ bhī tujh se bichhaḌ ke sargardāñ

terī āñkhoñ meñ bhī namī hai abhī

dil kī sunsān rahguzāroñ par

maiñ ne ik chīḳh sī sunī hai abhī

maiñ ne maanā bahut añdherā hai

phir bhī thoḌī sī raushnī hai abhī

apne aañsū ‘amīr’ kyuuñ poñchhūñ

in charāġhoñ meñ raushnī hai abhī

Leave a Comment