jald husn-o-jamal jaata hai
nahin rahta ye haal jaata hai
jab talak dekhta nahin us ko
dil men kya kya khayal jaata hai
kaun se vaqt arz-e-hal karun
vo to har vaqt taal jaata hai
jis ka hota hai gham se dil bhari
vo tire dar pe daal jaata hai
sarson ankhon men kyuun na phule ab
zard odhe do-shal jaata hai
saaf samjha nahin mujhe ashiq
baat kahte sambhal jaata hai
jaan deta huun jald dekhun to
nama-bar kaisi chaal jaata hai
nukta-chinon ne kuchh kaha to kya
koi is men kamal jaata hai
kuchh rihai nazar nahin aati
yuun hi ab ka bhi saal jaata hai
aah misl-e-shab-e-javani jald
kya ye roz-e-visal jaata hai
dilbari vo sanam kare meri
kuchh bhala ehtimal jaata hai
yuun khuda ki khudai hai maamur
par kab apna khayal jaata hai
tu to khush ho ‘hasan’ ke jaane se
tera ranj-o-malal jaata hai
Leave a Reply