
Poet
vahshat-e-dil ka ajab rang nazar aata hai
arsa-e-hashr mujhe tang nazar aata hai
donon janib hai barabar tiri tasvir ka ruḳh
a.ina meri tarah dang nazar aata hai
kuchh to sayyad ne kuchh bad-e-saba ne luuTa
ashiyane ka ajab rang nazar aata hai
sulh-jui ki tamanna men shab-o-roz ‘aziz’
yak jahan muztarib-e-jang nazar aata hai

Leave a Reply