us ke liye kuchh bhi karo anjam shikayat
lagta hai ki us ka to hai bas kaam shikayat
jo kuchh use darkar hai vo sab hai mayassar
kis baat ki karta hai vo gulfam shikayat
gulshan ki faza men bhi ham azad kahan the
sayyad se karte jo tah-e-dam shikayat
ham ne hi na ḳhud ko kiya tere liye tayyar
tujh se nahin kuchh gardish-e-ayyam shikayat
har shaḳhs ki karta hai shikayat jo tu ai shaiḳh
aisa na ho paḌ jaa.e tira naam shikayat
mauqa hi na paaya kabhi tanha.i men varna
karte na kabhi tujh se sar-e-am shikayat
ham farsh-nashin ḳhush hain isi baat pe ‘basir’
pahunchi to kisi taur lab-e-bam shikayat
Leave a Reply