tere afat-zada jin dashton men aḌ jaate hain
sabr o taqat ke vahan paanv ukhaḌ jaate hain
itne bigḌe hain vo mujh se ki agar naam un ke
ḳhat bhi likhta huun to sab harf bigaḌ jaate hain
kyuun na laḌava.en unhen ghair ki karte hain yahi
ham-nashin jin ke nasibe kahin laḌ jaate hain
Leave a Reply