yaar mera miyan-e-gulshan hai
gharq-e-khun phuul ta-ba-daman hai
dil lubhata hai sab ka vo sajan
dil-farebi men us ko kya fan hai
taare jiyun dar hai jis ke halqa-ba-gosh
vo bina gosh subh-e-raushan hai
us nazare se sab shahid hue
vo nayan kya bala-e-rah-zan hai
kya bayan kar sakun main gat us ki
‘faez’ at khush-ada sirijan hai
Leave a Reply