giri gir kar uthi palti to jo kuchh tha utha laai
nazar kya kimiya thi rang chehron se uda laai
khuda ke vaste saffakiyan ye kis se sikhi hain
nazar se pyaar manga tha vo ik khanjar utha laai
na hasrat hi nikalti hai na dil ko aag lagti hai
miri hasti mire daman men kya kanta laga laai
vo sab badmastiyan thiin zar ki ab zar hai na piite hain
hamari muflisi khud raah par ham ko laga laai
mitane ko hamare ye zamin-o-asman donon
hamesha mil ke chalte hain ba-in pasti-o-balai
jo kuchh dekha na dekha jo suni vo an-suni ‘shair’
na aae ham yahan ye zindagi muft-e-khuda laai
Leave a Reply