bas ham ne saath tira har dua men manga hai
ki apni jaan se ziyada tujhi ko chaha hai
zamane bhar ke bahut log tum ne dekhe hain
hamare jaisa kahin koi tum ne dekha hai
andheri raat ke ai chand tu bata mujh ko
miri tarah vo kabhi tere saath jaaga hai
har ek dard riha ho gaya mire dil se
ki main ne jab bhi tira hansta chehra dekha hai
tumhare aage sitare nazare kuchh bhi nahin
tumhare aage har ik rang phika phika hai
Leave a Reply