har chiiz men aks-e-ruḳh-e-zeba nazar aaya
aalam mujhe sab jalva hi jalva nazar aaya
tu kab kisi talib ko sarapa nazar aaya
dekha tujhe utna jise jitna nazar aaya
kiin band jab ankhen to miri khul ga.iin ankhen
kya tum se kahun phir mujhe kya kya nazar aaya
jab mahr numayan hua sab chhup ga.e taare
tu mujh ko bhari bazm men tanha nazar aaya
gardun ko bhi ab dekh ke hoti hai tasalli
ghurbat men yahi ek shanasa nazar aaya
sab daulat-e-kaunain jo di ishq ke badle
is bhaao ye sauda mujhe sasta nazar aaya
nakam hi ta-umr raha talib-e-didar
har jalva tira ba.ad ko parda nazar aaya
jo duur nigahon se sar-e-arsh-e-barin hai
vo nuur sar-e-gumbad-e-ḳhazra nazar aaya
majzub’ kabhi soz kabhi saaz hai tujh men
tu ‘mir’ kabhi aur kabhi ‘sauda’ nazar aaya
majzub’ ke jazbe ki jo samjhe na haqiqat
un aql ke andhon ko ye sauda nazar aaya
Leave a Reply